Pankaj ka naam sunkar log kaamp uthate hain,
Sote bacche bed se jaag uthate hain.
Pankaj hai khuub mehanti, kaamchori isko shobha nahin deti,
Ek baar hua tha Rajlaxmi se pyaar, jab engineering drawing ka horaha tha logon par atyachaar,
Pankaj ne khuub madat ki thi Raji ki us dum, lekin Raji ne rakh diya bechare ke dil par apna kadam
Din raat dubaa rehta hai kitabon mein, koi ladki kabhi na aaye iske khayalon mein,
Lekin fir bhi hai iske andar hai kaafi tharak bhari-bhari, ladkiyon par daale nazar bahut buri-buri,
Padhai mein hai sabse aawaal, kaam saare hote is ke ek dum chapal,
Metallurgy ki degree kari isne, lekin software mein jaan lagadi isne
na jaane kya hoga iska jab lugaai aayegi iske muhn ko chuumti,
Shareer ki kathi hai bahut he tagadi, ladai mein apne dushmano ki hai isne bahut kamar ragadi,
Doston ke aata hai bahut he kaam, par kabhi kabhi naraz hota to kar deta hai kaam tamam,
Pankaj mein koi nahin hain adat buri, Zindagi ko jeeta apne sharton par puri ki puri,
Lekin hai thoda chalaak, apne samaan ko lagane na de kisi aur ko haath,
Laptop par rakhe humesha lagakar taala, tension mein aajaye agar kisine bina puuche haath daala,
Bangalore aur Uncle se hai isko atyadhik pyaar, detarehta logon ko aksar udhaar,
Angrezi bolni nahin seekh paaya, lekin english grammar ki koi bhi book adhuuri nahin chod paaya,
Alag alag se iske kaam, room mein kabhi nahin karta araam,
Kabhi kabhi kamre mein subah subah kuude maar maar ke uchaal, aisa lage jaise aagaya bhuuchaal,
Icecream iske man ko khuub hai bhaati, Brick ki Brick puri ek baar mein isne faanki,
Logon mein rehkar bhi logon se rahe juda-juda, Hansi mazak mein hojaaye iska dil khafa khafa,
Pankaj se Mulwaani bahut hai ghabraata, kahin kabhi gusse mein pad na jaaye chaata.
Mujhe chaatoo chaatoo keh kar khuub hai chidhaata, Lekin uske chehre par hansi dekh kar main khush hojaata.
Humesha hansta muskurata rahe Pankaj, Jaldi se hojaye ab iski shaadi, Taaki saari kasrat nikale bistar par jaise chalti hain aandhi.