Saturday, August 27, 2011

Reddy

Reddy tha phele dedh haddi,
Hostel mein ghuumta pehen ke ek he chaddhi,

Foot ball players a maatha chuumta,
Din raat masti mein jhuumta,
Chutti mein bhi kabhi ghar var na jaana,

College ka gurgaan humesha kare jaana, yahi sab tha Reddy ka Kaam,
Bahut he lamba hai iska pura naam,

Electrical Engineering mein khuub ghisa,
Marks laane ke liye bahut daant pisa,
College mein kabhi kabhi jhagda bhi kar leta,
Kisi bhi public se bhid leta,
College ke baad Tavant join kiya,
Tavant ne pichwaade par laat jad diya,
Thode din zindagi mein rahi duukh ki shaam,
Fir MG Road ki kisi comapny mein jakar karta hai khuub kaam,
Ghar par saare paise bhej deta,
apni zindagi bhikhaari ki tarah
 jeeta, Foot ball mein pata nahin kahan se hai itna interest,
Match bahut jyada khelne ke chakkar mein hojaye agle din pura bed rest
aage kuch samajh nahin araha hai..... koi add karna chahe to add karde.....

Pankaj

Pankaj ka naam sunkar log kaamp uthate hain,
Sote bacche bed se jaag uthate hain.

Pankaj hai khuub mehanti, kaamchori isko shobha nahin deti,

Ek baar hua tha Rajlaxmi se pyaar, jab engineering drawing ka horaha tha logon par atyachaar,
Pankaj ne khuub madat ki thi Raji ki us dum, lekin Raji ne rakh diya bechare ke dil par apna kadam

Din raat dubaa rehta hai kitabon mein, koi ladki kabhi na aaye iske khayalon mein,

Lekin fir bhi hai iske andar hai kaafi tharak bhari-bhari, ladkiyon par daale nazar bahut buri-buri,

Padhai mein hai sabse aawaal, kaam saare hote is ke ek dum chapal,
Metallurgy ki degree kari isne, lekin software mein jaan lagadi isne

na jaane kya hoga iska jab lugaai aayegi iske muhn ko chuumti,

Shareer ki kathi hai bahut he tagadi, ladai mein apne dushmano ki hai isne bahut kamar ragadi,

Doston ke aata hai bahut he kaam, par kabhi kabhi naraz hota to kar deta hai kaam tamam,

Pankaj mein koi nahin hain adat buri, Zindagi ko jeeta apne sharton par puri ki puri,

Lekin hai thoda chalaak, apne samaan ko lagane na de kisi aur ko haath,

Laptop par rakhe humesha lagakar taala, tension mein aajaye agar kisine bina puuche haath daala,

Bangalore aur Uncle se hai isko atyadhik pyaar, detarehta logon ko aksar udhaar,

Angrezi bolni nahin seekh paaya, lekin english grammar ki koi bhi book adhuuri nahin chod paaya,

Alag alag se iske kaam, room mein kabhi nahin karta araam,
Kabhi kabhi kamre mein subah subah kuude maar maar ke uchaal, aisa lage jaise aagaya bhuuchaal,

Icecream iske man ko khuub hai bhaati, Brick ki Brick puri ek baar mein isne faanki,

Logon mein rehkar bhi logon se rahe juda-juda, Hansi mazak mein hojaaye iska dil khafa khafa,

Pankaj se Mulwaani bahut hai ghabraata, kahin kabhi gusse mein pad na jaaye chaata.

Mujhe chaatoo chaatoo keh kar khuub hai chidhaata, Lekin uske chehre par hansi dekh kar main khush hojaata.

Humesha hansta muskurata rahe Pankaj, Jaldi se hojaye ab iski shaadi, Taaki saari kasrat nikale bistar par jaise chalti hain aandhi.

Gogo aur Mona

To GoGo (Vineet Singh) with love:

Oh Mona!!
Oh Mona!!

Tujhe phele se he tha kisi aur ka hona!!

Mona o Mona!!

Tere liye tha mujhe kormangala se BTM aana,
par tune tha kisi aur ka hona!!

Oh Mona!!
Oh Mona!!

Teri khatir ab mujhe hai kitna rona

Mona o Mona!!

Maine pyaar kiya tha tujhse, teri bahon mein tha mujhko sona,
Ab, tu jarahi hai saare rishtey tod kar, tujhe phele se he tha kisi aur ka hona,

Mona o Mona!!

har dam mujhe tha, phone par hona,
Teri wajah se doston mein tha kitna jaleel hona,

Mona o Mona!!

Mujhe pata hota ki tujhe tha aise bewafa hona,
To kabhi na aata itne kareeb tere o Mona,

Mona o Mona!!

Tujhe pehle se he tha kisi aur ka hona.

Ab horahi hai shaadi teri kisi aur se,
aur mujhe padega saari umar teri yaad mein sona.

Mona o Mona!!

Aisi hain teri yadein is dil mein jinhein hai ab saari umar mujhe is dil se dhona.

Mona o Mona!!

Kitne kaam pure kiye maine tere, Kitne code samjhaye maine tujhe,
Par tujhe to tha kisi aur ko samjhna.

Mona o Mona!!

Anoop, Reddy, Ashutosh, sab ko mere ravvaaiye par tha aag babuula hona,
Par maine tha kisika na sunn na, mujhe to tha tere zulfon mein rehna,

Mona o Mona!!

Kaisi kamini nikali tu mona, shayad saahi rakkha tha maine tera naam Mona nahin tha hona.

Mona o Mona!!

Ab ye bhi batade ki kya karun main, kahan jaon main, aakhir klpd kar he di tune
Tujhe tha kisi aur ka hona.

Mona O Mona!!

Tu to chali jayegi byaah kar kisi aur ki duniya basaane, wipro mein rehjaunga bahut akela main o Mona,

Aakhir kya kami thi mujh mein jo tujhe tha kisi aur ka hona, Mona o Mona.

Gogo aur Mona

To GoGo (Vineet Singh) with love:

Oh Mona!!
Oh Mona!!

Tujhe phele se he tha kisi aur ka hona!!

Mona o Mona!!

Tere liye tha mujhe kormangala se BTM aana,
par tune tha kisi aur ka hona!!

Oh Mona!!
Oh Mona!!

Teri khatir ab mujhe hai kitna rona

Mona o Mona!!

Maine pyaar kiya tha tujhse, teri bahon mein tha mujhko sona,
Ab, tu jarahi hai saare rishtey tod kar, tujhe phele se he tha kisi aur ka hona,

Mona o Mona!!

har dam mujhe tha, phone par hona,
Teri wajah se doston mein tha kitna jaleel hona,

Mona o Mona!!

Mujhe pata hota ki tujhe tha aise bewafa hona,
To kabhi na aata itne kareeb tere o Mona,

Mona o Mona!!

Tujhe pehle se he tha kisi aur ka hona.

Ab horahi hai shaadi teri kisi aur se,
aur mujhe padega saari umar teri yaad mein sona.

Mona o Mona!!

Aisi hain teri yadein is dil mein jinhein hai ab saari umar mujhe is dil se dhona.

Mona o Mona!!

Kitne kaam pure kiye maine tere, Kitne code samjhaye maine tujhe,
Par tujhe to tha kisi aur ko samjhna.

Mona o Mona!!

Anoop, Reddy, Ashutosh, sab ko mere ravvaaiye par tha aag babuula hona,
Par maine tha kisika na sunn na, mujhe to tha tere zulfon mein rehna,

Mona o Mona!!

Kaisi kamini nikali tu mona, shayad saahi rakkha tha maine tera naam Mona nahin tha hona.

Mona o Mona!!

Ab ye bhi batade ki kya karun main, kahan jaon main, aakhir klpd kar he di tune
Tujhe tha kisi aur ka hona.

Mona O Mona!!

Tu to chali jayegi byaah kar kisi aur ki duniya basaane, wipro mein rehjaunga bahut akela main o Mona,

Aakhir kya kami thi mujh mein jo tujhe tha kisi aur ka hona, Mona o Mona.

Crushes

Chandni ki chaya mein dekhi ek pari,
Heere ki chamak mein nahayi hui uski kaya charhari,

Dekh kar he dil mera khogaya uske pyaar mein,
Duub gaya usse milne ke har pal intezaar mein,

Uske chehre ko maine apne man mein basaya,
Chah kar bhi main kabhi use na bhulapaya,

Roz usko dekhun ek tak,
Lekin duur rehti wo najane kyun mujhse nasamajh,

Bahut pyaar karta hoon main usko,
Par Samjhe na kabhi woh mere is pagal man ko,

Humesha mujhse duur he rehna chahe,
Mujh se dil lagane ki iccha kabhi uske man mein na jaage,

Jitna main uske kareeb aane ki karta koshish,
Utni he duriyan badha kar woh jagati is dil mein ek kashish,

Usko main chahun dena saari khushiyan is duniya ki,
Padne na duun main kabhi bhi uspar chaya kisi dushman ki,

Lekin usne hain mujhpar sirf sitam he dhaaye,
Kabhi pass aaye to kabhi ek dum duur chali jaaye,

Agar woh kisi aur se baat karti-nazarein milaati,
Mere tan badan mein aag lag jaati,

Kisi aur ke saath usko dekh paana mujhe kabhi nahin hai gawara,
Uske pyaar mein main bhatakun sadakon par aawara,

Ab aur ye saare sitam saahe nahin jaate,
Uske inkaar ke dar se shabd jubaan par nahin aate,

Lekin is baat ka mujhe bhi hai gumaan,
Use aur kahin nahin milega mujhse behtar insaan.

Anjaani Ladki

Najuk hai woh phoolon ki tarah,
Zagmagati hai woh jugnoo ki tarah,
Uski hansi dilon mein daal deti hai jaan
utha deti hai dil ke sagar tal mein ik tuufaan,
Uska chehra damake hai chiraag ki roshani ki tarah, badan mehake hai
gulab ki khusboo ki tarah,
baton mein uski ek ajab si mithaas, jiya mein uthaye ek gehri si pyaas,
zulfon ke badal jab bhi lehraati, bhari dupahri ko shaam kar jaati,
aisi thandi si kuch chaya hai uski, adbhut si kuch kaaya hai uski,
Ruth ti bhi khud he, khud he maan jaati, apnon ka dil kabhi na dukhaati,
Gussa!!! jo kabhi kabhi he aata, aankhon se hota hua chere par chaata,
Jitna gehra gussa aata, utna chehra khilta jaata,
Daanton ki banavat mein hai kuch gadbad, lage na usko kabhi bhi kisiki nazar,
Kisi devi par rakkha uska naam, shayad devi bhi swayam karen akar use pranam,
Himmat ke uski kya baat karein, raani jhansi bhi use zindabad kahen,
Pareshaniyon mein ghiri bhi ho to, ladte ladte kabhi na thake, kisi ke aage kabhi na jhuke, samjhaota karna use na aata, koi bhi jaldi uske man ko na bhaata,
bandhanon mein use koi na baandh paaya,
chahe koshish mein kheli kisi ne kitni bhi maaya,
Har sukh dukh mein mera saath nibhaaya,
aisi ladki jo har ladki se hai alag, aisi ladki jisko banana chaahe har koi humsafar.
Daaman mein uske hon khushiyan he khushiyan,laxmi ka rahe sada jeevan mein vaas,aisi hai humari prarthana prabhu se, miljaye jaldi he use koi apne man ka khaas.

Muli

Ye hain Mr Mulwaani, Bahut kamayenge ye maalpaani,
Kitabon se hain vishesh jude hue se, padhaai mein hai puure gade hue se,
Pure din computer par gaane sunte, Maths ke sawaal na jaane kitne hain bunte,
Cat ki tayyari mein jawaani bitaadi, aakhiri attempt mein IIM ki deewaar giraadi,
Itna padhne par bhi chashma nahin laga, Koi bhi kaam inkaa adhuura nahin raha,
Har pal hanste daant dikhaate, Gogo ke kaleeze ko kaccha chabajaate,
Parishram he hai muul mantra inka, Koi bhi teer nishaana na chuuka,
Kaho to rat lein, Kaho to samajh lein, Koi bhi padhaai kitni he baadi ho, sab kuch pal bhar mein chatt karlein,
Ladkiyon se dosti khuub banate, lekin chahat ko shayad dil mein he daba jaate,
Kapadon ka hai alag he jayeka inka, Personality mein he alag hai jalwa inka,
Mood humesha khushnumaar he rakhte, kabhi kabhi frustiyaate to geeton se man ko manaate,
Akela rehna inko hai bhaata, koi bhi jaldi inka accha dost na ban paata,
Non-veg pure dil se khaajaate, Hyderabad ki biryani ke liye janta ko kheechte lejaate,
Hansi mazak ki adat hai bahut jyada, par apne upar mazak bilkul saha nahin japaata,
Gogo par dhaaye inhone sitam dher saare, jaise jooton ko koi bhiga bhiga kar maare,
Paise ka ambaar lagane waale hain IIM se nikal kar, lekin Bal na bacha paaye apne sar par,
Sarswati aur Lakshmi hain inki deewani, zindagi mein humesha bani rahe khushiyan dher saarin.