Saturday, August 27, 2011

Crushes

Chandni ki chaya mein dekhi ek pari,
Heere ki chamak mein nahayi hui uski kaya charhari,

Dekh kar he dil mera khogaya uske pyaar mein,
Duub gaya usse milne ke har pal intezaar mein,

Uske chehre ko maine apne man mein basaya,
Chah kar bhi main kabhi use na bhulapaya,

Roz usko dekhun ek tak,
Lekin duur rehti wo najane kyun mujhse nasamajh,

Bahut pyaar karta hoon main usko,
Par Samjhe na kabhi woh mere is pagal man ko,

Humesha mujhse duur he rehna chahe,
Mujh se dil lagane ki iccha kabhi uske man mein na jaage,

Jitna main uske kareeb aane ki karta koshish,
Utni he duriyan badha kar woh jagati is dil mein ek kashish,

Usko main chahun dena saari khushiyan is duniya ki,
Padne na duun main kabhi bhi uspar chaya kisi dushman ki,

Lekin usne hain mujhpar sirf sitam he dhaaye,
Kabhi pass aaye to kabhi ek dum duur chali jaaye,

Agar woh kisi aur se baat karti-nazarein milaati,
Mere tan badan mein aag lag jaati,

Kisi aur ke saath usko dekh paana mujhe kabhi nahin hai gawara,
Uske pyaar mein main bhatakun sadakon par aawara,

Ab aur ye saare sitam saahe nahin jaate,
Uske inkaar ke dar se shabd jubaan par nahin aate,

Lekin is baat ka mujhe bhi hai gumaan,
Use aur kahin nahin milega mujhse behtar insaan.

No comments: