Saturday, August 27, 2011

Muli

Ye hain Mr Mulwaani, Bahut kamayenge ye maalpaani,
Kitabon se hain vishesh jude hue se, padhaai mein hai puure gade hue se,
Pure din computer par gaane sunte, Maths ke sawaal na jaane kitne hain bunte,
Cat ki tayyari mein jawaani bitaadi, aakhiri attempt mein IIM ki deewaar giraadi,
Itna padhne par bhi chashma nahin laga, Koi bhi kaam inkaa adhuura nahin raha,
Har pal hanste daant dikhaate, Gogo ke kaleeze ko kaccha chabajaate,
Parishram he hai muul mantra inka, Koi bhi teer nishaana na chuuka,
Kaho to rat lein, Kaho to samajh lein, Koi bhi padhaai kitni he baadi ho, sab kuch pal bhar mein chatt karlein,
Ladkiyon se dosti khuub banate, lekin chahat ko shayad dil mein he daba jaate,
Kapadon ka hai alag he jayeka inka, Personality mein he alag hai jalwa inka,
Mood humesha khushnumaar he rakhte, kabhi kabhi frustiyaate to geeton se man ko manaate,
Akela rehna inko hai bhaata, koi bhi jaldi inka accha dost na ban paata,
Non-veg pure dil se khaajaate, Hyderabad ki biryani ke liye janta ko kheechte lejaate,
Hansi mazak ki adat hai bahut jyada, par apne upar mazak bilkul saha nahin japaata,
Gogo par dhaaye inhone sitam dher saare, jaise jooton ko koi bhiga bhiga kar maare,
Paise ka ambaar lagane waale hain IIM se nikal kar, lekin Bal na bacha paaye apne sar par,
Sarswati aur Lakshmi hain inki deewani, zindagi mein humesha bani rahe khushiyan dher saarin.

No comments: