Najuk hai woh phoolon ki tarah,
Zagmagati hai woh jugnoo ki tarah,
Uski hansi dilon mein daal deti hai jaan
utha deti hai dil ke sagar tal mein ik tuufaan,
Uska chehra damake hai chiraag ki roshani ki tarah, badan mehake hai
gulab ki khusboo ki tarah,
baton mein uski ek ajab si mithaas, jiya mein uthaye ek gehri si pyaas,
zulfon ke badal jab bhi lehraati, bhari dupahri ko shaam kar jaati,
aisi thandi si kuch chaya hai uski, adbhut si kuch kaaya hai uski,
Ruth ti bhi khud he, khud he maan jaati, apnon ka dil kabhi na dukhaati,
Gussa!!! jo kabhi kabhi he aata, aankhon se hota hua chere par chaata,
Jitna gehra gussa aata, utna chehra khilta jaata,
Daanton ki banavat mein hai kuch gadbad, lage na usko kabhi bhi kisiki nazar,
Kisi devi par rakkha uska naam, shayad devi bhi swayam karen akar use pranam,
Himmat ke uski kya baat karein, raani jhansi bhi use zindabad kahen,
Pareshaniyon mein ghiri bhi ho to, ladte ladte kabhi na thake, kisi ke aage kabhi na jhuke, samjhaota karna use na aata, koi bhi jaldi uske man ko na bhaata,
bandhanon mein use koi na baandh paaya,
chahe koshish mein kheli kisi ne kitni bhi maaya,
Har sukh dukh mein mera saath nibhaaya,
aisi ladki jo har ladki se hai alag, aisi ladki jisko banana chaahe har koi humsafar.
Daaman mein uske hon khushiyan he khushiyan,laxmi ka rahe sada jeevan mein vaas,aisi hai humari prarthana prabhu se, miljaye jaldi he use koi apne man ka khaas.

No comments:
Post a Comment